Mareez-E-Ishq Ka Marz Wo Bukhaar Bataate Hain | Ghazal Shayari

Ghazal Shayari -119

Sad Ghazal Shayari by Guest: Sakshi Verma 'Aabshar'


Mareez-E-Ishq Ka Marz Wo Bukhaar Bataate Hain...


Mareez-E-Ishq-Ka-Marz-Wo-Bukhaar-Bataate-Hain-Ghazal-Shayari
Author:
Guest-author-pic
"Many Thanks for your Shayari Submission."
Visitor, you can also Submit Your Own Shayari Here.


Mareez-E-Ishq Ka Marz Wo Bukhaar Bataate Hain,
Shakhs Ek Hai Par Qatil Beshumaar Bataate Hain,

Nasha Chhalakata Hai Unki Nigahon Me Hardam,
In Maykadon Ke Nashe Ko Wo Khumaar Bataate Hain,

Ikhtiyaar Nahin Apni Khilaafat Jataane Ka,
Aur Meri Khamoshi Ko Wo Iqrar Bataate Hain,

Suna Hai Kahin Mohabbat Ke Saude Kiye Jaate Hain,
Aur In Paison Ke Satte Ko Ye Baazaar Bataate Hain,

Najren Hi Kaafi Hoti Hain Ishq Padhane Ke Liye,
Lafzon Mein Kiye Hue Ko Wo Izahaar Bataate Hain,

Bada Sukoon Mila Hai Us Se Mulakaat Hone Pe,
Aur Ye Log Aashiq Ko Beqaraar Bataate Hain,

Is Udhaar Ki Zindagi Par Hi To Jeete Hain Sab,
Wo Mahaz Paison Ke Karzon Ko Udhaar Bataate Hain,

Hai Kuch To Ranjish In Makaanon Ki Aapas Mein,
Aur Phir Dooriyon Ki Vajah Deewaar Bataate Hain,

Bahut Naaz Aane Laga Hai Aajkal Logon Mein,
Jinse Ham Khafa Hain Wahi Hamen Bezaar Bataate Hain,

Bade Naadaan Hain Ye Hamaare Jahaan Waale 'Aabshar',
Jismen Wafa Hi Na Ho Use Bhi Pyar Bataate Hain...



Must Read:- Faasle Majboori Thi Dariya Beech Me Tha | Sad Shayari Ghazal





शायरी ग़ज़ल -119

सेड ग़ज़ल शायरी द्वारा: साक्षी वर्मा 'आबशार'


मरीज़-ए-इश्क़ का मर्ज़ वो बुखार बताते हैं...


मरीज़-ए-इश्क़ का मर्ज़ वो बुखार बताते हैं,
शख़्स एक है पर क़ातिल बेशुमार बताते हैं,

नशा छलकता है उनकी निगाहों में हरदम,
इन मयकदों के नशे को वो खुमार बताते हैं,

इख़्तियार नहीं अपनी खिलाफ़त जताने का,
और मेरी ख़ामोशी को वो इक़रार बताते हैं,

सुना है कहीं मोहब्बत के सौदे किए जाते हैं,
और इन पैसों के सट्टे को ये बाज़ार बताते हैं,

नज़रें ही काफ़ी होती हैं इश्क़ पढ़ने के लिए,
लफ़्ज़ों में किए हुए को वो इज़हार बताते हैं,

बड़ा सुकून मिला है उससे मुलाकात होने पे,
और ये लोग आशिक़ को बेक़रार बताते हैं,

इस उधार की ज़िंदगी पर ही तो जीते हैं सब,
वो महज़ पैसों के कर्ज़ों को उधार बताते हैं,

है कुछ तो रंजिश इन मकानों की आपस में,
और फिर दूरियों की वजह दीवार बताते हैं,

बहुत नाज़ आने लगा है आजकल लोगों में,
जिनसे हम ख़फ़ा हैं वही हमें बेज़ार बताते हैं,

बड़े नादान हैं ये हमारे जहाँ वाले 'आबशार ',
जिसमें वफ़ा ही न हो उसे भी प्यार बताते हैं...


No comments:

Post a Comment

Copyright: @jaykc86. Powered by Blogger.
//]]>