Kyun Meri Mohabbat Meri Kamjoori Ban Gayi | Sad Shayari

Sad Shayari -8


Kyun Meri Mohabbat Meri Kamjoori Ban Gayi...




Kyun meri mohabbat meri kamjoori ban gayi - Pic

सेड शायरी -8


Mohabbat...

Kyun meri mohabbat meri kamjoori ban gayi,
kyun unke liye aaj ye thodi ban gayi,
Bahut majboot thi kabhi,
Kyun aaj ye mamooli si kachhi dori ban gayi.

क्यों मेरी मोहब्बत मेरी कमजोरी बन गयी,
क्यों उनके लिए आज ये थोड़ी बन गयी,
बहुत मजबूत थी कभी,
क्यों आज ये मामूली सी कच्ची डोरी बन गयी.






Dooriyan...

Jo jaana chahte hain unhe jaane do,
Jo chahte nahin paas aana unhe doori banane do,
Tum yaad rakhna,
Beshak unhe bhool jaane do.

जो जाना चाहते हैं उन्हें जाने दो,
जो चाहते नहीं पास आना उन्हें दूरी बनाने दो,
तुम याद रखना,
बेशक उन्हें भूल जाने दो.



You Might Also Like:

Kal Tak Jo Kehte The Humen Apna Aaj Wo… | Ghajal Shayari





Judaai...


Mein bhoolna chahta hun wo aisa hone kahan deti hai,
Karwaten badalte gujarti hai raat saari wo sone kahan deti hai,
Khud to ho gayi wo door mujhse,
Lekin mujhe wo khud se judda hone kahan deti hai.

में भूलना चाहता हूँ वो ऐसा होने कहाँ देती है,
करवटें बदलते गुजरती है रात सारी वो सोने कहाँ देती है,
खुद तो हो गयी वो दूर मुझसे,
लेकिन मुझे वो खुद से जुदा होने कहाँ देती है.






Naseeb...

Wo shakhs jab mere kareeb tha,
Tab main na itna gareeb tha,
Daulat pyar ki mili bhi to bas chand lamhaat,
Are Yaaro wo kahan mera naseeb tha.

वो शख्स जब मेरे करीब था,
तब मैं न इतना गरीब था,
दौलत प्यार की मिली भी तो बस चाँद लम्हात,
अरे यारो वो कहाँ मेरा नसीब था.



You Might Also Like:

Tumhari Mehbooba Ki Taarif Me | Sad Shayari




Dil-E-Ajeez...

Mouka milta hai unhe jo khushnaseeb hote hain,
Log dete hain saath unka jo Dil-E-Ajeez hote hain,
E-SHAAZ tu kyun rakhta hai chahat sheeshe ke ghar ki,
Bhala pathar bhi kabhi aaine ke kareeb hote hain.

मौका मिलता है उन्हें जो खुशनसीब होते हैं,
लोग देते हैं साथ उनका जो दिल-ऐ-अजीज़ होते हैं,
ऐ-शाज़ तू क्यों रखता है चाहत शीशे के घर की,
भला पत्थर भी कभी आईने के करीब होते हैं.




Watch-Video

Shayari Video - Kyun Meri Mohabbat Meri Kamjoori Ban Gayi

Subscribe Our YouTube Channel and Watch More Shayari


No comments:

Post a Comment

Copyright: @jaykc86. Powered by Blogger.
//]]>