Waqt To HarWaqt Bas Chalta Hi Jayega | Long Ghazal Shayari

Ghazal Shayari -16

Simple Ghazal Shayari by Guest: Amrit Yadav


Waqt To Har Waqt Bas Chalta Hi Jayega


Waqt-To-Harwaqt-Bas-Chalta-Hi-Jayega-Long-Shayari-Ghazal


Author:
Guest-author-pic
Many Thanks for your Shayari Submission


Waqt To Har Waqt Bas Chalta Hi Jayega,
Wo Waqt Ab Is Waqt Se Milne Na Aayega,
Na Dhundh Us Waqt Ko Har Waqt, Is Waqt Ke Liye,
Ye Waqt Bhi Us Waqt Me Milta Hi Jaayega.

Is Waqt Ki Aadat Hai Be-Waqt Aane Ki,
Is Waqt Ko Us Waqt Ki Khunt Pe Laaya Hi Jaayega,
Wo Waqt Bhi Kya Waqt Tha, Har Waqt Ye Kehta Hai,
Us Waqt Ko Is Waqt Me Rulaya Hi Jaayega.

Kisi Waqt Jab Waqt Par Us Waqt Se Milaega,
Uswaqt Ko Is Waqt Ki Godi Me Hi Sulayega,
Uswaqt Ki Yaad Me Ye Waqt Har Waqt Tadpa,
Na Jane Kis Waqt, Ye Waqt Us Waqt Ko Bhulayega.

Kyun Is Waqt Ko Us Waqt Ke Hum Naam Karte Hain,
Shayad Ye Waqt Bhi Kisi Waqt, Milne Ka Waqt Paayega,
Ye Waqt Ab Har Waqt Bas Kehta Hi Jaayega,
Wo Waqt Ab Is Waqt Ko Samjha Na Paayega.

Waqt-Waqt Ki Baat Hai, Be-Waqt Kehne Ki,
Koi Aur Waqt, Is Waqt Pe Phir Aa Hi Jaayega.



लम्बी शायरी ग़ज़ल -16

सिंपल ग़ज़ल शायरी द्वारा: अमृत यादव


वक़्त तो हर वक़्त बस चलता ही जाएगा...



वक़्त तो हर वक़्त बस चलता ही जाएगा,
वो वक़्त अब इस वक़्त से मिलने न आएगा,
न ढूंढ उस वक़्त को हर वक़्त, इस वक़्त के लिए,
ये वक़्त भी उस वक़्त में मिलता ही जाएगा.

इस वक़्त की आदत है बे-वक़्त आने की,
इस वक़्त को उस वक़्त की खूंट पे लाया ही जाएगा,
वो वक़्त भी क्या वक़्त था, हर वक़्त ये कहता है,
उस वक़्त को इस वक़्त में रुलाया ही जाएगा.

किसी वक़्त जब वक़्त पर उस वक़्त से मिलाएगा,
उस वक़्त को इस वक़्त की गोदी में ही सुलाएगा,
उस वक़्त की याद में ये वक़्त हर वक़्त तडपा,
न जाने किस वक़्त, ये वक़्त उस वक़्त को भुलायेगा.

क्यूँ इस वक़्त को उस वक़्त के हम नाम करते हैं,
शायद ये वक़्त भी किसी वक़्त, मिलने का वक़्त पायेगा,
ये वक़्त अब हर वक़्त बस कहता ही जाएगा,
वो वक़्त अब इस वक़्त को समझा न पायेगा.

वक़्त-वक़्त की बात है, बे-वक़्त कहने की,
कोई और वक़्त, इस वक़्त पे फिर आ ही जाएगा.


You Might Also Like:

Is Qadar Mukkamal Hui Thi Dastaan-E-Ulfat | Ghazal Shayari



No comments:

Post a Comment

Copyright: @jaykc86. Powered by Blogger.
//]]>