Gareebon Par Kabhi Na Tanz Karna - Long Ghazal Shayari

Ghazal Shayari -48

Simple Ghazal Shayari by Guest: Shoaib Hashmi 'Samar'


Gareebon Par Kabhi Na Tanz Karna...


Ghareebon-Par-Kabhi-Na-Tanz-Karna-long-Ghazal-Shayari


Author:
Shoaib Hashmi Samar
"Many Thanks for your Shayari Submission."
Visitor, you can also Submit Your Own Shayari Here.


Bazaahir Chahne Wale Bahut Hain,
To Fir Kyu Rooh Par Chhaale Bahut Hain,

Koi Sunne Ko Aamada Nahin Hai,
Zubane Haq Pe Bhi Taale Bahut Hain,

Gareebon Par Kabhi Na Tanz Karna,
Inhi Mein Log Dilwale Bahut Hain,

Utarna Janta Hai Wo Zahar Ko,
Usi Ne Sanp Bhi Paale Bahut Hain,

Ulajh Kar Rah Gayi Saari Ghatayen,
Tumhare Baal Ghunghrale Bahut Hain,

Samar Nazren To Teri Saaf Hain Par,
Aankhon Par Yahan Jaale Bahut Hain.



Must Read:- Main Musafir Tha Chala Ja Raha Tha | Ghazal Shayari





लम्बी शायरी ग़ज़ल -48

सिंपल ग़ज़ल शायरी द्वारा: शोएब हाश्मी 'समर'


ग़रीबों पर कभी न तन्ज़ करना...


बज़ाहिर चाहने वाले बहुत हैं,
तो फिर क्यों रूह पर छाले बहुत हैं,

कोई सुनने को आमादा नहीं है,
ज़ुबान हक़ पे भी ताले बहुत हैं,

ग़रीबों पर कभी न तन्ज़ करना,
इन्ही में लोग दिलवाले बहुत हैं,

उतारना जानता है वो ज़हर को,
उसी ने सांप भी पाले बहुत हैं,

उलझ कर रह गयी सारी घटायें,
तुम्हारे बाल घुंघराले बहुत हैं,

समर नज़रें तो तेरी साफ़ हैं पर,
आँखों पर यहाँ जाले बहुत हैं...


No comments:

Post a Comment

Copyright: @jaykc86. Powered by Blogger.
//]]>