Ab Meri Maa Zimmedaar Ho Gayi Hai - Simple Shayari Ghazal

Ghazal Shayari -65

Simple Ghazal Shayari by Guest: Jaya Bhardwaj


Ab Meri Maa Zimmedaar Ho Gayi Hai...


Ab-Meri-Maa-Zimmedaar-Ho-Gayi-Hai-Simple-Shayari-Ghazal



Author:
Guest-author-pic
"Many Thanks for your Shayari Submission."
Visitor, you can also Submit Your Own Shayari Here.


Bachchon Ki Karzadaar Aur Pati Ki Hissedaar,
Ab Khud Ki Zindagi Udhaar Ho Gayi Hai,
Ab Meri Maa Zimmedaar Ho Gayi Hai.

Khushiyaan To Papa Ke Hone Se Hi Thi Sabki,
Par Ab Wo Donon Darje Ki Haqdaar Ho Gayi Hai,
Ab Meri Maa Zimmedaar Ho Gayi Hai,

Ham Bachchon Ki Naadaaniyon Me Wo Bhi Thi Ab Tak Shaamil,
Par Achaanak Bahut Samajhdaar Ho Gayi Hai,
Ab Meri Maa Zimmedaar Ho Gayi Hai,

Papa Ka Uddeshy Tha Hamen Samajhdaar Banana,
Aur Hamara Tha Is Janjaal Se Khud Ko Bachaana,
Aaj Unki Jeet Hamaari Haar Ho Gayi Hai,
Ab Meri Maa Zimmedaar Ho Gayi Hai...



Must Read:- Har Roop Me Rang Mein Man Se Sunder Stree - Ghazal Shayari





लम्बी शायरी ग़ज़ल -65

सिंपल ग़ज़ल शायरी द्वारा: जया भारद्वाज


अब मेरी मां ज़िम्मेदार हो गई है...


बच्चों की कर्ज़दार और पति की हिस्सेदार,
अब खुद की जिंदगी उधार हो गई है,
अब मेरी मां ज़िम्मेदार हो गई है।

खुशियां तो पापा के होने से ही थी सबकी,
पर अब वो दोनों दर्जे़ की हक़दार हो गई है,
अब मेरी मां ज़िम्मेदार हो गयी है।

हम बच्चों की नादानियों में वो भी थी अब तक शामिल,
पर अचानक बहुत समझदार हो गई है,
अब मेरी मां ज़िम्मेदार हो गयी है।

पापा का उद्देश्य था हमें समझदार बनाना,
और हमारा था इस जंजाल से खुद को बचाना,
आज उनकी जीत हमारी हार हो गई है,
अब मेरी मां ज़िम्मेदार हो गयी है...



No comments:

Post a Comment

Copyright: @jaykc86. Powered by Blogger.
//]]>